Badal gae hai yeh zindagi ab, sab hi nazaray badal gaye hain
Kaheen pe maujain badal gaeen hain kaheen kinaray badal gaye hain
Badal gaya hai ab us ka lehja, ab us ki aankhain badal gaeen hain
Woh chand chehra hai ab bhi waisa mere sitaray badal gaye hain
Mila hon tum se tau yun laga hai ke jaise dono hi ajnabi hon
Kabhi jo mujh ko azeez-e-jaan thay, woh taur sare badal gaye hain
Kaheen pe badla hai kehnay wala, kaheen pe saamay badal gaya hai
Kaheen pe ankhain badal gaeen hain kaheen nazaray badal gaye hain
Is leye bhi mein sar jhuka kar tumhari nagri se chal para hoon
Thaa naaz jin per kabhi mujhe bhi woh sab saharay badal gaye hain …