~~~ Bad Shagone ~~~

ajab gharee thee
kittab keechar main gir paree thee
chamaktay lafzon ke mailee aankhon main uljhay aanso bula rahay thay
magar mujhy hosh he kahan tha
nazar main ek our he jahan tha
naiy naiy manzaron main apnay manzar say cut gaya hoon
naiy naiy dairoon ke gardish main apnay mehvar say hut gaya hoon
silla , jazza , khoof , na umeede
umeed , imkan , bay yaqeene
hazar khanoon main but gaya hoon
ab is say pehlay kay ratt apne kamand dalay ye chahta hoon kay lout jaoon
ajab naheen vo kittab ab be vaheen paree ho
ajab naheen aaj be mere rah dekhtee ho
chamaktay lafzoon ke mailee aankhon main uljhay aansoo
hava va hiras va havas ke sub gurd saf kar deen
ajab naheen meray lafz mujhy muaf kar deen
ajab gharee thee
kitab keechar main gir paree thee
*

nice and thanks