BaCHCHay hamaray ahad kay CHalaak ho gaye

BaariSH hui tu PHooloN kay tan CHaak ho gaye
Mausim kay haaTH BHeeg kay saffak ho gaye

Baadal ko kia KHabar hai keh baariSH kee CHaah maiN
Kaisay bulund o baala SHajar KHaak ho gaye

Jugnoo ko din kay waqt paraKHnay kee zid karaiN
BaCHCHay hamaray ahad kay CHalaak ho gaye

Lehra rahi hai baraf kee CHaadar haTa kay GHaas
Sooraj kee SHayh pe tinkay BHi bebaak ho gaye

Basti main jitnay AAb gazeeda thay sub kay sub
Darya kay ruKH badaltay hee tairaak ho gaye

Sooraj dimaaGH log BHi iblaaGH e fikr maiN
Zulf e SHab e firaaq kay peCHaak ho gaye

Jab BHi GHareeb e SHahar say kuCH guftagoo hui
Lehjay hawaay e SHaam kay namnaak ho gaye

Re: BaCHCHay hamaray ahad kay CHalaak ho gaye

Defntly such a gr8 piece ov urdu poetry ! Thanks for sharing !

Re: BaCHCHay hamaray ahad kay CHalaak ho gaye

Excellen...

Re: BaCHCHay hamaray ahad kay CHalaak ho gaye

greatest 1......

Re: BaCHCHay hamaray ahad kay CHalaak ho gaye

Good Sharing

Re: BaCHCHay hamaray ahad kay CHalaak ho gaye

gd1