- Inspired from this thread *
Sultan Uncle aik bakri kay bachay ko kaan say pakar kar lay jaa rahay thay. Raastay mein Bablu nay jub yeh maajra dekha to us sey raha na gaya. Usnay Uncle sey poocha:
** Bablu:** Uncle is bakri ko kaan say pakar kar kahan lay jaa rahay hain?
Sultan Uncle**:** Beta is ko ghar lay kar jaa raha hoon.
Bablu: Achaa, achaa, mein samjha aap isay iskool lay jaa rahey hain.
Sultan Uncle**:** Arey Bablu, bakrian bhi kabhi iskool mein pardhee hain? Iskool mein to bachay pardhtey hain.
- Pinches Bablu’s nose as Bablu is all sharmaaying-sharmaaying *
Achaa waisey, Bablu, tum kahan ko chaley?
Bablu nay uktaaye hue lehjay mein bola: Arey Uncle Jee, iskool jaa raha hoon, aur kahan. Peer ki subah hai, thori dair mein class shuru honay wali hai.
Sultan Uncle**:** Kiya pardha rahey hain aaj tumharay ustaad?
Bablu nay khushi khushi jawab diya: Woh, woh, woh jo hain naa, woh aaj hamein hayatiaat (read: Biology) kay baray mein dhair saraa kuch batayengey.
Sultan Uncle**:** Chalo shabaash, yeh rassi pakro, aur is bachay kay saath chaltey bano. Class mein tajurbay kay liyey kaam aayegaa.