Aisii hii sard shaam thii vo bhii
jab vo mahandii rachaaye haathon men
apanii aahat ke Khauf se larazaan
surkh aanchal men muunh chupaaye hue
apane Khat mujh se lene aai thii
us kii sahmi hui nigaahon men
kitanii Khaamosh iltijaayen theen
us ke chehare kii zard rangat men
kitanii majabuuriyon ke saaye the
mere haathon se Khat pakarate hii
jaane kyaa soch kar achaanak vo
meraa shaanaa pakar kar roi thii
us ke yaaquut rang honton ke
kup kapaate hue kinaaron par
sainkaroon ankahe fasaane the
sard shaamon men der tak aksar
jab ye manzar dikhaii detaa hai
ek lamhaa hinai haathon se
mujh ko apanii taraf bulaataa hai
ham nashin ruuth kar naa jaa mujh se
aisii hii sard shaam thii vo bhii
Re: Baaz Gasht
:( hm hm hm
very sad and nice
i really couldn't understand what u mean
Re: Baaz Gasht
kon ruuth kar jaa raha hay
Re: Baaz Gasht
choro sir jee kya rakha hay in batoon main........ shair ko shair hi rehnay do koi naam na do
Re: Baaz Gasht
yaar ye koi dukh bhari daastaan ki shuruaat to nahi hay.
aik to in larkiyon ki samajh nahi aati,
Jab in k peechay bhagoo to door bhagti hain
Aur jab in say door bhagoo to Naaraz hoti hain
Kiya karain in ka?
Re: Baaz Gasht
but i m still waiting to listen ur story
Re: Baaz Gasht
come on sir jee there is no story to tell..................its just a nice azad nazm i have shared........not my story .....well not so far...............
Re: Baaz Gasht
^^ sab say pehlay ye mujay sir kehna band karoo,
agar nahi kiya to main phir tu say monthly tution fees layna shuru kar doon ga
and it depends k main sir hoon kis subject ka...
Meray "Bhai", "Janoo", "Chanda", "Sweetheart", "Dear", hatta k "Abay" bhi use kar saktay ho lakin sir kaho gay to phir bhugatna bhi paray ga
Re: Baaz Gasht
ye kiya edit kar k wo jumla hi hata diya jo is poori conversation ka lub-e-lubaab taha ![]()
Re: Baaz Gasht
Aap ka intikhab bohat accha laga, khushi hay ke dunia main abhi bazaoq log mojood hain,
Thanx for sharing.
Friend4u4ever
Re: Baaz Gasht
Very Nice… ![]()
And Nice Discussion too.. ![]()
Re: Baaz Gasht
Zarra nawazi hay janab hayaap ki…zauq to sunanay walay kaan main hoota hay na ji.
Re: Baaz Gasht
Aji huzrat college ki aadateen mushkil say jateen hay na…teachers ko nahin dooston ko hi sir jee kahtay thay …jahan tak jumlay ki baat hay to wahi baat hay k baat niklay gi to phir duur talak jayee gi…es lye choreen kya faaida
Re: Baaz Gasht
very nice thanx for sharing dear:)
Re: Baaz Gasht
ok accepted…
“baat niklay gi to duur talak jayee gi”
Re: Baaz Gasht
Hussn ka to suna hay ke wo dekhnay walon kee aankh main hota hay, lekin ye kaan wali naai laay hain aap,
kion ke kaan to dewaron ke bhi hotay hain lekin dewarin na to shariy per kaan dharti hain aur na hi un ke kaan main zauq type ki koi cheez hoti hay, aur aksar kalam to kaanoN se guzarta hi nahi aur dil maiN uttar jata hay (Yaani dewaroN ko kanoo-Kaan khabar hi nahi hoti hay) aur ye hussn-e-shair bhi shayad paRhnay walon ki aankhon maiN hota hay,
Ok iss se pehlay ke reply ke kaan kuch ziada hi khinch jaain, is ko khatam kartay hain,
Thanks
Friend4u4ever