Baat thi mohabat ki.......

**Baat thi mohabat ki,

**
**Umar bhar ki chahat ki,

**
**Bheer mein zamanay ki

**
**Sath sath chalna tha,

**
**Imtehan bhi anay thay,

**
**Zindagi ke sab hi pal

**
**Sath hi bitanay they.

**
**Janay tum ne kia socha?

**
**Sirf aik pal mein he,

**
**Baat khatam kar dali.

**
**Zindagi jo poori thi,

**
**Wo adhori kar dali.

**
**kon tumko samjhaye?

**
**Chahton Ke Mausam bhi,

**
**Roz to nahi aatay!

**
**Zindagi mein apnon ko

**
Chor to nahi jatay !!

Re: Baat thi mohabat ki.......

Shehr e khamoshan ki taraf tou akelay he jaatey hain ..aur sab ko chorr jaatey hain

Re: Baat thi mohabat ki…

buhat khoob :k:

Re: Baat thi mohabat ki.......

**Imtehan bhi anay thay,

**
isi waja se choRa hai...ta kay ap tyari karein

Re: Baat thi mohabat ki…

Yahan kisi ny Hangama kia hy…?
Hayaat sy rukhsat ka zikr to kaheen nhi…?:hmmm:

Aapka Tal`luq kisi shiddat pasand group sy lagta hy…?:stuck_out_tongue:

Re: Baat thi mohabat ki…

Usko bata dyn…Tyari kia karni hy…?

Boti Mafiya ZindaBaad…:hehe:

Re: Baat thi mohabat ki.......

**Imtehan bhi anay thay,

**
**Zindagi ke sab hi pal

**
**Sath hi bitanay they.

yehi to imtihan hai :p
**

Re: Baat thi mohabat ki…

ADH MAGHZON KO KON SAMJHAI :smack2:

Re: Baat thi mohabat ki…

ya phir cholay day kr bhi kaam chal jata

Re: Baat thi mohabat ki…

:hmmm:

Re: Baat thi mohabat ki…

mehbooba isas liye achi lagti hai ke wo kabhi kabhi dikhti hai.. bivi iss liye buri lagti hai ke her waqt nazar aane lagti hai chuRaik kahin ki

Re: Baat thi mohabat ki…

ye to hy…:smiley:

Aapka koi kaam howa cholay dy kr…?

Re: Baat thi mohabat ki…

Yeh shiddat pasandi iss germi ki shiddat kay bais jaiiz hai :slight_smile:

Re: Baat thi mohabat ki…

:k:
:eek:

:rotfl:

Re: Baat thi mohabat ki.......

Ab itni bhi nahi Garmi........?

Re: Baat thi mohabat ki.......

nahi..lekin peelay aur lal schools mein ho jata hai aksar

Re: Baat thi mohabat ki.......

Puranay Waqton mein shayad hota ho aysa........Abto Quaid ki Tasver wala Kaghaz ki kaam aata hy.....:p

Mein ny Sufaid school mein bhi taleem hasil ki hy.......:p

Bro ko pata hoga.........sufaid school ka?

Re: Baat thi mohabat ki.......

sufaid bole to missionary?

Re: Baat thi mohabat ki…

sufaid school? :hmmm:

Re: Baat thi mohabat ki.......

Ghar se bahir bhi nikal jaya karo..burger bachchay