baat niklee tau bauhat duur talak jaaye gi
loag be wajah udaasi ka sabub poochhain gay
ye bhi poochhain gay ki tum itni pareshaan kyoun ho
ungliyaan utthengi sookhay huay baalon ki taraf
ik nazar dekhain gi guzray huay saalon ki taraf
choorriyoun par bhi kaii tanz kiye jaayen gay
kaanptay haathon pe bhi fikray kasay jaayen gay
loag zaalim hain har ik baat kaa taanaa dain gay
baaton baaton mein mera zikr bhi le aayen gay
unki baaton kaa zaraa saa bhi asar mut lenaa
warna chehray ke ta`assur say samajh jaayen gay
chahay kuch bhi ho sawaalaat na kurna unn se
meray baaray mein koi baat na kurna unn se
baat niklee tau bauhat duur talak jaaye gi