Log be-wajh udasi ka sabab poochain gay
Yeh bhi poochain gay kay tum itna pareyshan kyoun ho?
Unglian ut-thain gi sukhay huay balon ki taraf
Ek nazar daykhayn gay guzray huay salon ki taraf
Choorion par bhi kai tanz kiyay jaiin gay
Kanptay hathon pay bhi fiqray kasay jaiin gay
Log zalim hain, har ek baat ka ta’na dayn gay
Baton baton may mera zikar bhi lay ayen gay
Unki baton ka zara sa bhi asar mat layna
Warna chehray kay ta-asur say samajh jain gay
Chahay kuch bhi ho, sawalat na karna un say
Merey baray may koi baat na karna un say
Baat Nikle gi to … Dooor talak jai gi~~
(Listening to this one helped reduce stress due to exams )