loag be-wajha udaasi ka sabab poochein gay
ye bhi poochein gay k tum itne paresha’n kyon ho
ungliyan uthhein gi sookhay huway baalon ki taraf
ek nazar dekhein gay guzray huay saalon ki taraf
chuudion per bhi kai tanz kiye jaein gay
kanptay hathon pe bhi fiqray kasay jaein gay
Log zalim hain har ik baat ka taana dein gay
baton baton mein mera zikr bhi lay aain gay
unki baton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehray kay ta’asur se samjh jaein gay
chahay kuch bhi ho sawalat na karna un say
meray baray main koi baat na karna un say