baat nikaley gii to phir

baat nikaley gii to phir duur talak jaayegii
log bevajah udaasii kaa sabab puuchhein gay
ye bhii puuchhein gay ki tum itanii pareshaan kyun ho
u’ngaliyaain uthein gii sukhe huye baaloin kii taraf
ik nazar dekheingay guzare huye saaloon kii taraf
chudiyoon par bhii kaii tanz kiye jaayeingay
kaanpate haathoon pe bhii fikre kase jaayeingay
log zaalim hai.n har ik baat kaa taanaa de.nge
baatoon baatoon mein meraa zikr bhii le aayeingay
unakii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
varnaa chehare ke taasur se samajh jaayeingay
chaahe kuchh bhii ho sawaalaat na karanaa unnsay
mere baare mein koi baat na karanaa unase
baat nikalegii to phir duur talak jaayegii


I’m Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be
( Muhammad ALI )

nice !


in my dreams i was drowning my sorrows , but my sorrows learned to swim

wah...bohat khoobsurat!
Jagjit has sung it very well...aur ab mera dil is ghazal ko sun'nay kay liyay machal raha hay...

aaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh,
me ye aksar sunti hoon…

*u’ngaliyaain uthein gii sukhe huye baaloin kii taraf
ik nazar dekheingay guzare huye saaloon kii taraf
chudiyoon par bhii kaii tanz kiye jaayeingay
kaanpate haathoon pe bhii fikre kase jaayeingay *

intehaa kar daali, bohat hi zanardast haye

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

thanks for sharing yaarjee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


Ye tu woh hi loogh hian jo mehnat se paatey hian
YouNhe nahi likhta hia VOH jaageer haatale main