Baat nikalegi to phir door talak jayeegi,
Log be-vajah udaasi ka sabab poochayengay,
Yeh bhi poochayengay ki tum itni pareshaan kyon ho,
Ungaliyan uthayengi sukhay huey baalon ki taraf,
Ik nazar dekhyengay guzray huey saalon ki taraf,
Choodiyon par bhi kai tanz kiyey jaayengay,
Kaanptay haathon pay bhi fikray kasay jaayengay,
Log zaalim hai, har ik baat ka taana dengay,
Baaton baaton mein mera zikr bhi ley aayengay,
Unki baaton ka zara sa bhi asar mat lena,
Varna chehray kay taasur say samajh jaayengay,
Chahey kuch bhi ho sawaalat na karna unsay,
Meray baaray mein koi baat na karna unsay,
Baat nikalegi to phir door talak jayeegi !
nice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
Baat niklegi to phir door talak jaigi waah naice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
**Wo Ilm de jo kItaaboN se Be-Niaaz kare
Wo Aql de ke do Aalam meiN Sarfraaz kare
Mujhey to is se gHarz hai keh Raazi ho Dilbar
Yeh kaam Qais´ kare ya koi Aiyaaz´ kare
**
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
Never Stop Smiling Even When U R Sad Someone Might Fall In “LoVe” With Ur Smile
BAAT DEEWAARO SE KER LAITE HAIN PIYAARO KI JAGAH
AA GYA HAM KO BHARE GAHER MAIN AKAILA RAHNA