"TumhaiN humaisha maira wajood
khiRki ki tarha maaloom hoa
jub chaha kholaa, nazaaray ka lutf liya
hawa aur rang ko badan-e-libaas kiya
aur jub chaha, toofaan say bachnay ko
dur bund ker kay, mujhay oRh kay baith ga’ay
TumhaiN humaishamaira wajood surang ki tarha maloom hoa…
jub chaha panah lay li,
jub chaha surang ko chupaa diya
aur jub kay zameen walay tumharay naqsh-ae-qadam naa daikhaiN
tum nay mairay unDer chaltay rehnay ko zindagee samjha
tumhaiN humaisha maira wajood kho-aab
ki tarha maaloom hoa,
jub chaha paani daikh liya,
jub chaha rait
jub chaha taabeer dhoond li
jub chaha bud-huzmi ka zaiqa samajh ker
faramosh ker diya,
Tumhaaree kho-aab maiN baataiN
mujhay jaag ker sun-nee peRtee haiN
mairay jaagtay ki baataIn
koee kho-aab bhi nahiN sun-taa…"
I think it is by Kishwar Naheed.
Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…