baarish ke baad

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya “K” baarish ke baad

Re: baarish ke baad

Ek diya jalta raha baarish ke baad

Baarish kay baad power failure bhii tou lamba hota hai na ...majburi

Re: baarish ke baad

:rotfl:

Re: baarish ke baad

barish ka mausum gaya :bummer: