Baarish by Parveen Shakir "Raining IN kHi"

**baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye

baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah me.n
kitane buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye

juganuu ko din ke vaqt paka.Dane kii zid kare.n
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye

laharaa rahii hai barf kii chaadar haTaa ke ghaas
suuraj kii shah pe tinake bhii bebaak ho gaye

suuraj dimaaG log bhii iblaaG-e-fikr me.n
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye

jab bhii Gariib-e-shahar se kuchh guftaguu hu_ii
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye

saahil pe jitane aab_guziidaa the sab ke sab
dariyaa ke ruKh badalate hii tairaak ho gaye
**


**KhUsh raHiyE aMiN !! **
bEiNg LoNely !
**sID !!
**

Re: Baarish by Parveen Shakir "Raining IN kHi"

*barishon ka mosam hay
rooh ki fizaaon main
gham zada hawain
bay sabab udaasi hay
ik ajeeb mosam main
bay qaraar raton ki
bay shumar batain hain
an ginat afsaanay hain
jo boht khamoshi say
dil pay sahtay phirtay hain
or ba amr e majboori
sab say kahtay phirtay hain
aaj mosam acha hay
aaj hum boht khush hain
baarishon ka mosam hay.
*

Re: Baarish by Parveen Shakir “Raining IN kHi”

Wonderful :k:

Re: Baarish by Parveen Shakir "Raining IN kHi"

Bahaar ik khud fareebi ka arsa hai
Khizaan mosam tumhari yaad ka hai

Re: Baarish by Parveen Shakir "Raining IN kHi"

Nice Work LONELY.

Re: Baarish by Parveen Shakir "Raining IN kHi"

Nice one..

Re: Baarish by Parveen Shakir "Raining IN kHi"

**
[QUOTE]

*barishon ka mosam hay
rooh ki fizaaon main
gham zada hawain
bay sabab udaasi hay
ik ajeeb mosam main
bay qaraar raton ki
bay shumar batain hain
an ginat afsaanay hain
jo boht khamoshi say
dil pay sahtay phirtay hain
or ba amr e majboori
sab say kahtay phirtay hain
aaj mosam acha hay
aaj hum boht khush hain
baarishon ka mosam hay.
*

[/QUOTE]

very nice........... Beinglonely**
<!-- / message -->