baar haa bichray the lekin youn tujhe khoya na tha

**baar haa bichray the lekin youn tujhe khoya na tha
ab tou wo kata hai ham ne jo kabhi boya na tha

Khowab woh daikha k jo khowabon main basta tha kabhi
Raat youn soya hoon jaisey umr bhar soya na tha

Khul k roney se bhi dil ka bojh kab halka huwa
Taiz baarish ne bhi terey naqsh ko dhoya na tha

Khul k roney se bhi dil ka bojh kab halka huwa
Taiz baarish ne bhi terey naqsh ko dhoya na tha

Woh bhi din the naam mera wird e jaan tha aur ab
Berukhi aisi taalluq hi kabhi goya na tha

Yeh achanak baithay baithay kya huwa tujhey
Iss se pehley to kabhi tu iss tarah roya na tha**

Re: baar haa bichray the lekin youn tujhe khoya na tha

:(