Baar-e-Muhabbat

Suno jana!
Yun tanha ab akailay..
Raat bhar jaaga nahin jata.
K tanha bojh chahat ka…
Tou ab uthta nahin mujh say,
Suno!
Kia aisa ho nahin sakta…
K
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi….
Tum agar jago?
Ye chahat ka haseen aik bojh,
Aadha hi sahi….
Tum baant lo mujh say,
Phir aadha dard tum lay lo…
Phir aadhay khwaab tum daikho..
Ye dil ki beqarari…
Mujh say aadhi baant lo tum bhi,
Tou ab tum hi kaho jana!
Phir es baar-e-muhabbat ko…
Tum aadha baant lo gay naa…?

Re: Baar-e-Muhabbat

:eek: barghalane wali shayari.. aadhi raat ko aa jao :hayaa:

Re: Baar-e-Muhabbat

**
Teri Tasveer Ko Tasavvur Mein Banata Raha,
Ek Musaver Raat Bhar Aansu Bahata Raha Hai,**

Re: Baar-e-Muhabbat

ye to koi baat na hui... pehle usse raat main bulaya jab chori pakRi gai to kaha wo to tasawwur main aai thi

Re: Baar-e-Muhabbat

Dil ko dil sy rah hoti hy............tasawur mein hi bulaya tha.............brotelepathy ka kamaal.............

Re: Baar-e-Muhabbat

aap kia Devta novel wale Farhaad Ali taimur hain?

Re: Baar-e-Muhabbat

main novel nhi parhta.............is liya kuch pata nhi

Re: Baar-e-Muhabbat

paRha to maine bhi nahin.. suna hai telepathy per hai

Re: Baar-e-Muhabbat

Acha...........

Re: Baar-e-Muhabbat

Koi kisi ka bojh nahin bant'ta

Re: Baar-e-Muhabbat

qulli bhi nahin