Baant de sab ko hansi, la mujhe aansoo de de

Andhe khwabon ko usoolon ka tarazoo de de
Mere Malik mujhe jazbaat pe qaboo de de

Main samandar bhi kisi ghair ke hathon se na loon
Ek qatra bhi samandar hai agar tu de de

Sab dukh dard simat jaen mere seene main
Baant de sab ko hansi, la mujhe aansoo de de

Bun k phoolon ke mehak mujhko jagane aae
Subh ki pehli kiran ko koi ghunghroo de de

Re: Baant de sab ko hansi, la mujhe aansoo de de

na kion
sabko hansi baate
hame aanso:bailan: :bailan:

Re: Baant de sab ko hansi, la mujhe aansoo de de

Insaan ko dil bada rakhna chahiye :emmy: aage malik ki marzi

Re: Baant de sab ko hansi, la mujhe aansoo de de

khawma kha

dusre bhi insan hi hen oper se tapak k thore aae hen k
unkI khama kha ki QURBANI

Re: Baant de sab ko hansi, la mujhe aansoo de de

:k: