Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Baandh Layn Haath Pe , Seenay pe Sajaa Layn TUM ko
Jee Mein Aata hay k Taveez Bana Layn TUM ko

Phir Tumhayn Roz Sanwaarayn , Tumhayn Barhta Daykhayn
Kiyun Na Aangan Mayn Chanbaili Sa Laga Layn TUM ko

Jayasay Baalon Mein Koe Phool Chuna Karta hay
Ghar K Guldaan Mein Phool Sa Saja Layn TUM ko

Kiya Ajab Khuwahish Uth-ti Hayn Humaray Dil Mein
Kar K Munna Sa , Hawaon Mein Uchaalayn TUM ko

Iss Qadar Toot Kar Tum Par Piyaar Aata Hay
Apni Banhon Mein Bharayn Maar hi Daalayn Tum Ko

Kabhie Khuwaabon Ki Tarha Aankh K Parday Mein Raho
Kabhie Khuwahish Ki Tarha Dil Mein Bula Layn TUM ko

Hay Tumharay Liye Kuch Aysi Aqeedat Dil Mein
Apnay Haathon Mein Dua Sa Utha Layn TUM ko

Jaan Denay Ki Ijazat Bhi Nahi Detay Ho
Warna Mar Jayen Abhie Mar K Manaa Layn TUM ko

Jis Tarha Raat K Seenay Mein Hay Mahtaab ka Noor
Apnay Tareek Makaanon Mein Sajaa Layn TUM ko

Ab Toh Bas Ayk hi Khuwahish hay Kissi Morr Par TUM
Hum Ko Bikhray Huwaye Mil Jao , Sanbhalayn TUM ko

(Sayed Wassi Shah)
**[RIGHT]
[/RIGHT]

**


Restored attachments:

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Kabhie Khuwaabon Ki Tarha Aankh K Parday Mein Raho
Kabhie Khuwahish Ki Tarha Dil Mein Bula Layn TUM ko

yeh acha hai

and yeh khaufnaak hai :eek:

Iss Qadar Toot Kar Tum Par Piyaar Aata Hay
Apni Banhon Mein Bharayn Maar hi Daalayn Tum Ko

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

hahah. Khofnaak to hai lekin shayad shair ko apni muhabbat ki shiddat bayan karne ke liye iss se ziada ache alfaaz nahin milay.

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko


sahi bechara marnay maarnay per aa gaya hai

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Muhabbat pe mehboob pe marne aur raqeeb ko maarne ki reet to boht purani hai, lekin yeh kuch uljah huwa case hai, jahan mehboob ko maarne ki baat ho rahi hai.

On a serious note, this shair is equally romantic as khofnaak.

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Yep it is extremely romantic ghazal shukar hai koi to umeed wali ghazal aaai.

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Please explain 'Umeed' you find in this ghazal.

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

aap bhi hashar kerein gay mera :hehe: chalein youn keh lein ke shair is ghazal mein apna regular kaaaa rona dhona and judai kaa gham chor ker achay khawaab saja raha hai ke agar mehboob pass ho to woh kitna khush ho gaa and khushi mein kaya ker guzray gaaa.

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Ghazal ki Tashreeh karne ke liye aapko miltay hain 10 out of 10. I don’t know how Wasi Shah will think, if he reads our comments :konfused:

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

wasi Shah abhi zinda hia naa bechara parh ker shairi kerna hi bhool jaaye gaa :omg: Especially meray haathon jo ke sher ki nasar bananti hai and tashreeh mein kaya likhti hai

Re: Baandh len Hath pe Seenay pe Saja len Tumko

Bohat Khoob Muqawwee..:k: