Larki!
Yeh lamhay Baadal hain
Guzar gaye tou
Haath kabhi nahi aaingay
In kay lamas ko peeti jaa
qatra qatra bheegti jaa
Bheegti jaa tu jab tak in main num hai
aur teray andar ki mitti piyasi hai
mujh sey pooch kah
Baarish ko waapsi ka rastaa kabhi na yaad hua
Baal sukhanay kay mausam an-parh hotay hain
{Parveen SHakir}