Azadiyon k naam pay ruswaiyan milin
mushkil say teray dard ki penhainyaan milin
saqi nay jhoot bola hai fasl-e-bahar ka
gulshan may sirf aag ki angraiyaan milin
mujh ko milay hain qariya-e-mahtaab may garhay
tujh ko tu pathroon may bhi raanaiyaan milin
hum nay unnhi ko sorat-e-jaana bana lia
dewar-e-arzoo pay jo parchaiyaan milin
un pay nisar mehfil-e-hasti ki ronaqain
ayee dost maikaday may jo tanhaiyaan milin
har tajarbay may saghir maay ka jawaz hai
har falsafay may zulaf ki gehraiyan milin