Azad-e-deed me aankheian laho laho kar kay! (Mohsin Naqvi)

Azab-e-deed me aankheian laho laho kar kay!
Me sharam saaz hova teri justjo kar kay!

khander ki teh say breeda badan sarron k siwa!
Mila na kuch bi khazanon ki arzoo kar kay!

Suna hay shaher main zakhmi diloo ka mela hay!
Chalein hum b magar Pair’hen Rafoo kar kay!

Musafat-e-Shab-e-Hijraan k bad bhed khula!
Hawa dukhi hay chiragho ko be-Abro kar kay!

Zameen ki piyaas Ussi k lahoo ko chaat Gaye!
Wo khush hova tha samunder ko AaaBajoo kar kay!

Yeh kis nay hum say lahoo ka Khiraaj Phir Manga!
Abi to soye thay Maqtal ko Surkhru kar kay!

Jaloos-e-Ehle-e-Wafa kis k dar py phuncha hay!
Nishan-e-tooq-e-fa-zeenat Giloo kar kay!

Ujaar Rutt ko Gulabi Bnaye Rakhti Hay!
Humari Aankh teri deed say wuzu kar kay!

Koi to Habs-e-hawa say yeh poochta MOHSIN…!!
Mila hay kya usy Kaliyoo ko Be-Namo kr kay!!

(khwab-Rung)

Re: Azad-e-deed me aankheian laho laho kar kay! (Mohsin Naqvi)

Azaad-e-deed or Azaab-e-deed?

Re: Azad-e-deed me aankheian laho laho kar kay! (Mohsin Naqvi)

Azad-e-Deed hay g.

Re: Azad-e-deed me aankheian laho laho kar kay! (Mohsin Naqvi)

The correct version says ...

Azaab-e-Deed mein ankhain lahu lahu kar ke
Mein sharamsaar huwa teri justujo kar ke ...

Re: Azad-e-deed me aankheian laho laho kar kay! (Mohsin Naqvi)

thanks amar bail.

Re: Azad-e-deed me aankheian laho laho kar kay! (Mohsin Naqvi)

Waah very evocative poem… kya haseen shayree thee :lajawab:

Re: Azad-e-deed me aankheian laho laho kar kay! (Mohsin Naqvi)

Very nice stuff :):k: