Azaad nazmoN ka silsila

Qaasid Kabutar–Ahmad Faraaz

Yeh lahu
Jissay meray
ShehroN kay
Saaray raasty
gulgooN haiN
Aur har pairhun ka ruNg unnabi hai
Kal kay mausamoN
Aur aanay waalay
SoorajoN
Ka zamzama-gar hai
Chalo tumnay to
Kali surkhiaN
Miqraaz kar daaliN
Sukhan nakhcheer kar daalay
Magar ab in hawaaoN ko bhi roko
Jo tumharay maqtaloN ki laaliaN
Aur taza khooN ki khushbuaiN
Aur unki awaazaiN liyay
GalioN say
BazaroN say
ShahraahoN say ho kar
Har taraf
Qaraya-b-qaraya
Phailti jaati haiN
NaadaaoN
HawaaiN naamwar baunti haiN
Jab qaasid kabootar qaid hotay haiN

Re: Azaad nazmoN ka silsila

nice one :)

Re: Azaad nazmoN ka silsila

Nice :k:

Re: Azaad nazmoN ka silsila

I am thankful to both of u for the kind words.

Re: Azaad nazmoN ka silsila

nice..

Re: Azaad nazmoN ka silsila

Great :)

Re: Azaad nazmoN ka silsila

bohot aalllaa

Re: Azaad nazmoN ka silsila

Mouft main badnaam karay hay :(