Aur jub zubaaN per chup kay taaley lug jaaien
Tou dil main uthney waley toofaan
Undur hi undur toor phoor kertay rehtay hain
Zehn main uthney wali soochain
Wajood ko hila ker rukh daiti hain
Aankhoon main bunney waley aks
Dhundley ho ker
PulkooN kay peechay kahin gum ho jatey hain
Tou phir
Tou phir
Meri jaaN!
Alfaaz yoonhi khaguz per uthernay lagtey hain
Jissey tum “shayr” kehtay ho
*Ussey hum azaab-e-sha’oor kehtay hain… *
Masha Allah kiya baat hai....
wah.
:k:
Re: ~~ Azaab-e-sha’oor ~~
zaberdasttt :k:
Wow...So Deep... Thanks Vivacious...
Buhat khoob:flower1:…
^ Thanx all :)