**azaab-e-hijar barha loon agar ijazat ho
ik aur zakhm kha loon agar ijazat ho
tumharay aaraz o lab ki judai kay din hain
mein jaam munh say laga loon agar ijazat ho
tumhara husn tumharay khayal ka chehra
shabahatoon me chhupa loon agar ijazat ho
tumhi say hai meray her khowab-e-shoq ka rishta
ik aur khowab kama loon agar ijazat ho
thaka diya hai tumharay firaaq nay mujhay
kahin mein khud ko gira loon agar ijazat ho…!**