Kya aap darzan nahin haiN? Darzi nahiN hain? Fikar Not, ham aap ko aaj dhoti banana sikhaiNgay.
Dhoti bananay kay liye jo samaan chahiye wo ye hai.
teen gaz chicken,cotton ya silk ka kapra.
aik addad kenchi (agar aap ko moon say kapra pharna ata hai to phir kenchi ki zaroorat nahi
How to make:
3 gaz kapray ko zameen par rakhain aur kenchi say charo nukkar kaat laiN.
Zameen par dhoti ka kapra rakh kar us kay upar lait jaiN aur phir kissi ko awaz daiN aur wo a kar DHOTI ko roll kar day, agar koi dhoti roll nahi kar sakta to phir khud aik kinara pakar kar reengna shuru kar daiN jaise punjabi filmo mai reema baarish mai karti hai.
Ye lain aap ki apni ghar ki banni banayi dhoti tiyaar!
Yaad Rakhain DHOTI jitna pehnna mushkil hai utna hi utarna uska asaan hota hai issi liye aisi jaghe jaha taiz hawa chal rahi ho waha janay say parhez karain.
aur agar style marna ho.. to dhoti keh upar phata huwa banyaan.. aik adad tie.. and qainchee chappal paoun main.. tussi baray mast item lago gay ray baba..