Aye Zindagi main dhoondon kahan
Tujhay dhoondhon kahan
Nadya ki lehroon main
Apnon main ghairon main
Phoolon main kalyon main
Sapnon ki galyon main
Titli kay rangon main
Urti patangon main
Khiltay gulabon main
Behtay chanabon main
Saat aasmanon main
Saray jahanon main
Avaaz day... Avaaz day tu hai jahan...
Aye Zindagi main dhoondon kahan
Tujhay dhoondon kahan
Deekha nahi hai phir bhi tairi surat bunti rehti hon
Tairi aankhon ki apnay dil per dastak sunti rehti hon
Koyal ki ko ko main
Sandal ki khushbo main
Badal kay aanchal main
Har lamha har pal main
Gaon kay pan-ghat pay
Balyun ki chokhat pay
Barfeeli rahon main
Pairon ki baanhon main
Saat aasmanon main
Saray jahanon main
Avaaz day… Avaaz day tu hai jahan…
Aye Zindagi main dhoondon kahan
Tujhay dhoondon kahan
Pehlay Piyar ki aaj bhi yaadain mujh ko rulanay aati hain
Bujhti raakh kuraid kay phir say dard jaganay aati hain
Ashkon ki laryun main
Savan ki gharyun main
Khamosh sagar main
Gudri ki chadar main
Hathon ki lakiron main
Ujri tasveeron main
Sulgay angaron main
Hijr kay maron main
Saat aasmanon main
Saray jahanon main
Avaaz day… Avaaz day tu hai jahan…
Aye Zindagi main dhoondon kahan
Tujhay dhoondon kahan
Meethi meethi yeh jo kasak hai shayad pehla piyar hai yeh
Sansoon main jo un-jani mehak hai..shayad pehla piyar hai yeh
Iss ras-bharay mosam main
Sholon main shabnum main
Chandni raaton main
Bheegi barsaton main
Nao main ..Paani main
Bhooli kahani main
Papihay ki taanon main
Sulgi uranon main
Saat aasmanon main
Saray jahanon main
Avaaz day… Avaaz day tu hai jahan…
Aye Zindagi main dhoondon kahan
Tujhay dhoondon kahan
Meethi meethi yeh jo kasak hai shayad pehla piyar hai yeh
Sansoon main jo un-jani mehak hai..shayad pehla piyar hai yeh
Iss ras-bharay mosam main
Sholon main shabnum main
Chandni raaton main
Bheegi barsaton main
Nao main ..Paani main
Bhooli kahani main
Papihay ki taanon main
Sulgi uranon main
Saat aasmanon main
Saray jahanon main
Avaaz day... Avaaz day tu hai jahan...
Aye Zindagi main dhoondon kahan
Tujhay dhoondon kahan
[QUOTE]
*Originally posted by jasmeen: *
asa kuon lag raha hay kay yah koi song hay
baher hal jis nay likha hay khoob likha hay her jaga dhoondh lia pher bhee zindagi na mili...afsos:(
[/QUOTE]
jee yeh song hi hai... aur pasand kernay ka shukriya :~)