Aye Na'ye Saal Bata

**Ae na’ye saal bata tuj maiN naya-pan kya hai?

Harr tarf khalq naiN shor macha rakha hai

Roshni din ki vohi, TarouN bhari raat vohi

Aaj humko nazar ati hai her baat vohi

AasmaaN badla hai na badli ye afsurda zameeN

…Aik hindsai ka badalna koi jiddat to nahi…

Besabab daitain haiN log kiun mubarak badaiN

Sab kya bhool gaye vaqt ki kerwi yadaaiN

Tu naya hai tou dikha subha nayi sham nayi

Warna in ankhouN nay daikhay hain na’ye saal kaye…**

Re: Aye Na'ye Saal Bata

okay i found a lot of incomplete & in correct version of this on many forum, well it goes like this...

Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya pan Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai

Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har ik Baat Wohi

Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik hindsey Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi

Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kis ko Maloom Nahi Barah Mahinay Teray

January, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee

Tera sun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay tu Chala Jaye Ga

Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi

Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain

Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki

By Faiz Ahmed Faiz

Re: Aye Na'ye Saal Bata

btw its nice reading it every time...
Thanks for sharing

Re: Aye Na'ye Saal Bata

Thanks so much for sharing the complete poem! Its such a delight to read it properly.

Re: Aye Na’ye Saal Bata

Bahut umdaah intikhaab …:k:

Re: Aye Na’ye Saal Bata

each verse is true
v nice sharing :k:

Re: Aye Na'ye Saal Bata

December aur January ki poems ki alag hi baat hoti hey...nai , nai cheezeiN saamney aati heiN. Good to read it again :)

Re: Aye Na'ye Saal Bata

waah ji, waah! bahooot umda Ghazal marHamat farmaayii hai...sabhii ash'aar bahooot aalaa haiN. zabardast sharing. shukria**

Re: Aye Na'ye Saal Bata

Thanks Amal & KKF...

Re: Aye Na’ye Saal Bata

Hmm so i posted the same version as that of fara’s on 31st dec lol…
http://www.paklinks.com/gs/intikhaab/473934-aye-naye-saal-bata-tujh-mein-naya-kya-hai.html

The real version is so much better…thanks Faixan :slight_smile:

Re: Aye Na’ye Saal Bata

Nice one :k:

Re: Aye Na'ye Saal Bata

nice sharing fara :)

Re: Aye Na’ye Saal Bata

Very Nice Fara..:k: