Aye merey Ham Nasheen chal, kahin aur chal
Is chaman may ab apna guzara nahi
Baat hoti phulon tak to seh laytay ham
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahi
Di sada ‘daar’ par or kabhi ‘toor’ par
Kis jaga may nay tum ko pukara nahi
Thokaren yun khilaney say kya faida
Saaf kehdo kay milna gawara nahi
Gulistan ko lahoo ki zaroorat pari
Sab se pehlay hi gardan hamari kati
Phir bhi kehtay hain mujh say yeh ahle-chaman
Yeh chaman hai hamara, tumhara nahi
Zalimon apni qismat pe naz’aan na ho
Daur badley ga yeh waqt ki baat hai
Woh yaqeenan sunay ga sadai’n meri
Kya tumhara khuda hai, hamara nahi?
Aaj aye ho tum kal chalay jao gay
Yeh mohabbat ko apni gawara nahi
Umr bhar ka sahara bano to bano
Do ghari ka sahara, sahara nahi
Apni zulfon ko rukh say hata lijiay
Mera zoq-e-nazar a’zma lijiay
Aj ghar say chala hoon yahi soch kar
Ya to nazren nahi, ya nazara nahi
Aye merey Ham Nasheen chal, kahin aur chal
Is chaman may ab apna guzara nahi
Baat hoti phulon tak to seh laytay ham
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahi
[QUOTE]
*Originally posted by X_Communist: *
Aye merey Ham Nasheen chal, kahin aur chal
Is chaman may ab apna guzara nahi
Baat hoti phulon tak to seh laytay ham
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahi
Di sada 'daar' par or kabhi 'toor' par
Kis jaga may nay tum ko pukara nahi
Thokaren yun khilaney say kya faida
Saaf kehdo kay milna gawara nahi
Gulistan ko lahoo ki zaroorat pari
Sab se pehlay hi gardan hamari kati
Phir bhi kehtay hain mujh say yeh ahle-chaman
Yeh chaman hai hamara, tumhara nahi
Zalimon apni qismat pe naz'aan na ho
Daur badley ga yeh waqt ki baat hai
Woh yaqeenan sunay ga sadai'n meri
Kya tumhara khuda hai, hamara nahi?
Aaj aye ho tum kal chalay jao gay
Yeh mohabbat ko apni gawara nahi
Umr bhar ka sahara bano to bano
Do ghari ka sahara, sahara nahi
Apni zulfon ko rukh say hata lijiay
Mera zoq-e-nazar a'zma lijiay
Aj ghar say chala hoon yahi soch kar
Ya to nazren nahi, ya nazara nahi
Aye merey Ham Nasheen chal, kahin aur chal
Is chaman may ab apna guzara nahi
Baat hoti phulon tak to seh laytay ham
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahi
[/QUOTE]