Darwesh k purzor israr par main ney qalam utha to liya hai lekin likhney ka haq ada kar payi hun ya nahin ye faisla aap sab kijye ga… meri aik kawish ummat-e-muslima k name
Aye merey allah ye kya ho raha hai
ye kya dekh rahi hain
meri ankhen har janib
kahin jal rahey hain makeen
kahin makan jal rahey hain
chooley bujh gaye hain
insaan jal rahey hain
yoon lagta hai jaisey
zameen sey le kar asman jal rahey hain
goliyon sey chalni lashen
be goro kafan lashey
masoom bachon ki adh khuli ankhen
suhagnon ki khali bahen
behno k nangey sar
mayon k machaltey ansoo
bas aik hi sawal kar rahey hain
aye Merey allah ye kya ho raha hai
koi to agey aye
nara -e-haq buland karney ko
islam ka parcham
jo girney ko hai
usey sar buland rakhney ko
koi to agey aye
DAJLA KA SAAF PANI
khoon mein badal gya hai
beiruut sarey ka sara
malbey mein dhal gya hai
kashmeer ki betiyan faryad kar rahi hain
bosniya ki mayen ye hi sawal kar rahi hain
aye merey Allah ye kya ho raha hai
Buhat Tarpa Dainay Wala Kalam MashaAllah Jo Kuch Hum Mahsoos Kar Rahay Hain Woh Aap Nay Likha ......
Islami Umma Kabhi Iss Tarah Yateem Nah Hoi Thi Kah Koi Bhi Iss Kay Aanso Poochnay Kay Liye Naheen Hay ........ Shutar Muragh Key Tarah Reet Main Sar Diye Hum Sub Soch Rahay Hain Kah Hameen Kuch Naheen Hoga .... Hamaray Ghairat Kay Jazbat Say Mahroom Hukmaran Apni Aishyoon Main Lagay Hain .... Iss Mushkil Ghari Main Koun Sath Day Ga ?
Dr. Allam Khoub Farma Gaiy Thay Kah :
Khuda Nay Aaj Tuk Uss Qoum Key Halat Naheen Badli
Nah Ho Jiss Ko Khyal Aap Apni Halat Badalnay Ka
Main Khiraj-e-Tahseen paish karoon ga Afghan Bhaeeon Ko Jo Hameesha Musalmanoon Kay liye Har Jagah Larnay phunch Gaiy leekan Sad Afsoos Hum Logoon Nay Unheen Kaheen Ka Nah Chora ..........
Aaalam-E-Islaam Ko Iss Waqat Sultan Sallah Ud Din Ayoubi Key Soch Kay Hamil Leader Key Zaroorast Hay Par Afsoos Aisi Tahi Daamani Kabhi Nah Daikhi Thi .... Aab To Ek Qatra-e-Khoun Bhi Nah Raha Bazoo Main **
**Khailtay Thay Kabhi Hum Khoun Kay Tofanoon Say
Jazak Allah sanan, aisi nazam to main ney likhi hi na thi jitna khoobsurat aap ney us ko apney tabsrey sey kar diya, bohat khoob likha aap ney nahayat khoobsurat tabsara jo aap k dil k dard ki gamazi karta hai likhtey rahiye shayad k allah ko hamari halat-e-zar pe reham a jaye or wo ham sab ki pukar k jawab mein koi mard-e-momin bhej dey
DAJLA KA SAAF PANI
khoon mein badal gya hai
beiruut sarey ka sara
malbey mein dhal gya hai
kashmeer ki betiyan faryad kar rahi hain
bosniya ki mayen ye hi sawal kar rahi hain
aye merey Allah ye kya ho raha hai
:( Buhat gehrai o Girai hy ap ky ashar main<!-- / message -->