Aye khuda mujh ko

Ay Khuda Mujh Ko Ata Lafzoon Ka Darya Karday
Hamd Likhna Hai Takhayool May Ujala Karday

Jab Talak Saans Hai Main Zikr Tera Karta Rahon
Tou Ata Mujh Ko Sana Khowan Ka Rutba Karday

Rehmatain Teray Iradoon Say Baras Jati Hain
Tou Vo Qadir Hai K Beemar Ko Acha Karday

Jis Ko Chahay Ussay Sajday Ka Hunar Aa Jaay
Zarf O Eeman Ki Qamat Ko Bhi Bala Karday

Tu Nabi Jis Ko Kahay Us Ko Khudaee Mil Jae
Chand Ho Shaq Jo Vo Ungli Ka Ishara Karday

Rah E Eeman Ka Dushwar Safar Tay Kar Loon
Mujh Pay Bus Sura E Yaseen Ka Saya Karday

Zindagi Meri Shariyat K Mutabiq Guzray
Pori Hamid Ki Tamana Ye Khudaya Karday

Re: Aye khuda mujh ko

Aameen
Nyc :k:

Re: Aye khuda mujh ko

Ameen :lajawab:

Re: Aye khuda mujh ko

Thanks pk and pk :D

Re: Aye khuda mujh ko

Aamin..

Re: Aye khuda mujh ko

Umdah Ghazal Hai :k:

Re: Aye khuda mujh ko

niceeee