woh abar meray dasht-e-tamana mai utarta
aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
kirnoo’n ki dhanak aurh kay ek rooz achanak
woh mujh say bichar kar meri dunia mai utarta
ek asks meray dil kay darechay mai dharakta
ek khwab meri ankh kay sehra mai utarta
bay noor na rahti shab-e-hijraa’n ki hatheli
woh jan-e-dua dasht-e-tamana mai utarta
woh chand kisi mehal kay khwaboo’n ka muqadar
kyu meray bujhay ghar ki tamana mai utarta
Javaid kisi shab meray khwaboo’n ka musafir
ankhoo’n say nikal kar dil-e-tanha mai utarta
Ali_2
July 2, 2008, 7:43am
6
Re: aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
one word "awesome"
Aryaan
July 2, 2008, 11:04pm
7
Re: aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
Excellent Shab-e-Hijar ..:k:
Re: aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
lafz-less g!
ruswa
July 5, 2008, 4:58am
10
Re: aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
Really Nice dear
Re: aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
Bohttt khooobbb...veryy hi nice :) thx for sharin Shabb :)
Re: aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
Beautifulll… :k: :k:
Koyal
July 8, 2008, 4:24am
13
Re: aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
Beautiful shab:)
Shab-e-Hijar:
*
** Javaid** kisi shab meray khwaboo'n ka musafir
ankhoo'n say nikal kar dil-e-tanha mai utarta
Yeh Mainay Kab Likhi Thee
Zabardast Sharing :~)