Aye jazba-e-dil gar main chahoon
har cheez muqabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chaloon
aur samnay manzil aa jaaye
Aye dil ki Khalish chal yuonhi sahi
chalta to hoon unki mehfil mein
us waqt mujhe chaunka dena
jab rang pe mehfil aa jaaye
Aiye rahber-e-kamil chalne ko
tayaar to hoon par yaad rahe
us waqt mujhe bhathka dena
jab saamnay manzil aa jaaye
Haan yaad mujhe tum kar lena
awaz mujhe tum de lena
is rah-e-muhabbat mein koi
darpaish jo mushkil aa jaaye
Ab kiyun dhondoon woh chashm-e-karam
honay de sitam bala-e-sitam
main chahta hoon aye jazba-e-ghum
mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
Behzad Lakhnavi