aye ishq humain barbaad na kar

aye ishq humain barbaad na kar…
agar mil sakay to nayar noor kee awaz main zaroor sunain, its one of her best ones

ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n
ham bhuule huo.n ko yaad na kar
pahale hii bahut naashad hai.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh
ye taazaa sitam ijaad na kar
yuu.N zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

jis din se mile hai.n dono.n kaa
sab chain gayaa aaraam gayaa
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii
aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa
GamGii.n na banaa naashaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

raato.n ko uTh uTh rote hai.n
ro ro kar duaaye.n karate hai.n
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish
sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hai.n na zaalim marate hai.n
ye zulm to ai jallaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ye rog lagaa hai jab se hame.n
ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo
har vaqt tapish har vaqt Khalish
be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo
jiine se idhar bezaar huu.N mai.n
maranbe pe udhar tayyaar hai vo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

bedard zaraa insaaf to kar
is umr me.n aur maGmuum hai vo
phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii
taaro.n kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab
majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo
mazaluum pe yuu.N bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n
vo shoKh hasii.n badanaam na ho
vo maah-e-laqaa badanaam na ho
vo zohraa-jabii.n badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
vo pardaa-nashii.n badanaam na ho
us pardaa-nashii.n ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ummiid kii jhuuThii jannat ke
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n
aa_iindaa ke farzii ishrat ke
vaade se na kar betaab hame.n
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii
aatii hai nazar kaamayaab hame.n
chho.D aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

do din hii me.n ahad-e-tifalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n
lab ke vo taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khvaabo.n ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaa.N par ro denaa
ehasaas ko Gam buniyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

jii chaahataa hai ik duusare ko
yuu.N aaTh pahar ham kare.n
aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko
aur dil ko Khayaal aabaad kare.n
Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N
vahadat ko du_ii se shaad kare.n
ye aarazuue.n ijaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

vo raaz hai ye Gam aah jise
paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n
aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
GamGii.n sii hai betaab sii hai
ummiid yahaa.N ik vaham sii hai
taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai
duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n
duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai
duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

wao....its a long one!!!
nice tho
thanx for sharing

sun rahay hain ... ... wah

long one but its beautiful:k::k::k:
thanks:flower1:

Rani Pakistani: :)

Azad: aap to wesay hee bohot aala qisam kee urdu boltay hain, aap zyada behtar samajh saktay hain

ghazal kisi ke ji

its a long one but the sung one by nayara noor is a bit different, us main sirf 2 stanzas hain iskay, first or third, dont lekin last wala jo us main hay wo is ghazal main mila naheen, if anybody knows do post it here
azad bhai aap ya arifnawaz aap ko shaid pata ho

[QUOTE]
azad bhai aap ya arifnawaz aap ko shaid pata ho
[/QUOTE]

hum to bay-Ghar hain .. aaj tak apna pata to kar na sakay .. "Noor" ko kahan dhoonDtay pherain gay :)

** naam ki momasilat itefaqia hay .. kafi dilon ko uchalta howay daikha gia ... hummm... Dilsay kam'az kam aap to apnay dil ko nichala baiThna seekha hi do **

Aceones! correction please
aap ke khayal main hum acha lekhtay hein nawazish . zara nawazi hay aap ki ... hum bol or samajh nahi saktay ..(well.. allah ki hiqmat allah hi behter janta hay)

Azad bhai itnay udas kyoon rehtay hain aap, cafe main jaya karain

Aap kafi samjdar hain .. ghalban cafe main janay ka asar hay

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Aap kafi samjdar hain .. ghalban cafe main janay ka asar hay
[/QUOTE]

aap bhee kafi samajhdar lagtay hain... shaid cafe` main na janay ka asar hay :)

aah samajdar hotay to Azad na hotay ... Sarkari mehmaan hotay.

cafe main "sub kuch" mil jata hoga magar "kafi" nahi milti ;)

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

aah samajdar hotay to Azad na hotay ... Sarkari mehmaan hotay.

cafe main "sub kuch" mil jata hoga magar "kafi" nahi milti ;)
[/QUOTE]

acha abhee pata chalayga miltee hay ke naheen :p

[QUOTE]
acha abhee pata chalayga miltee hay ke naheen
[/QUOTE]

ai ishq hame.n barbaad na kar
khak zamin abad rahay, barbad na kar
hosh walo tum hosh hi rakho
Ahl e janoon ke mehfil hay, barbad na kar

Adab

Bach giya

Yaa Azad he tha jo itnay sawaloon kay baad bach giya...

Azad ke urdu kee kiya hee baat...

Very Nice, Thanks for sharing Aceones:)

**Aceones! **
First of all, thanks for your thread, its simply marvellous :k::k::k:

Alrite, here is the one I had posted few dayz back… !

**Ae ishq hamain barbaad na kar, hum bhoolay huon ko yaad na kar
Pehlay hi bohat nashaad hain hum, tu aur hamain nashaad na kar
Qismat ka sitam hi kam to nahi, yeh taaza sitam eejad na kar

Yuun zulm na kar baydaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar!

Jis din say milay hain, donno ka sab chain gaya araam gaya
Chehron say bahar-e-subah gai, aankhon say farogh-e-shaam gaya
Hathon say khushi ka jaam chhuta, honton say hansi ka naam gaya

Ghamgeen na bana, naashaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar!

Woh raaz hai yeh gham, aah jisay paa jayay to khair nahi
Aankhon say jab aansoo behtay hain aajayay koi to khair nahi
Zaalim hai yeh duniya, dil ko yahan koi bha jayay to khair nahi

Hai zulm magar faryaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar!

Duniya ka tamasha dekh liya, ghamgeen si hai baitaab si hai
Umeed yahan ik weham si hai, tasqeen yahan ik khuwaab si hai
Duniya main khushi ka naam nahi, duniya main khushi nayaab si hai

Duniya main khushi ko yaad na kar
Ae ishq hamain barbaad na kar

Ae ishq hamain barbaad na kar, hum bhoolay huon ko yaad na kar
Pehlay hi bohat nashaad hain hum, tu aur hamain nashaad na kar

**

GuL-e-Tasbeeh: :slight_smile:
Arifnawaz: thnx bro, aur wo thread shaid mainay miss kar dya hoga, thnx for letting me know :k:

Very Nice1
thnx 4 sharing :flower1:

Re: Bach giya

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Azad ke urdu kee kiya hee baat...
[/QUOTE]

Waqai in kee kiya baat hay ** Azad sahab ** tu urdu-e-mualla ki bulandion par faiz hain..