***Hairaan hoon keh yeh kon sa dastoor-e-wafa hai,
Tu misl-e-rag-ejaa’n hai to kioun mujh se juda hai,
Tu ehl-e-nazar to nahi tujh ko khabar kia,
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai,.
Likha hai mera naam samander pe hawa ne,
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai,
Uth'ti hain jo pehlu se mere dard ki lehrein,
Betaab samander koi seenay mein daba hai,
Ay zeest k dozakh se guzartey huay lamho,
Socha hai kabhi tum ne keh jeena bhi saza hai...!!!***