Ay muhabbat teray anjaam pay rona aayaa
Jaanay kyoon aaj teray naam pay rona aayaa
Yun to har shaam ummeedon main guzar jaati thi
Aaj kuchh baat hay jo shaam pay rona aayaa
Kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunyaa ka gilaa
Manzil-e-ishq main har gaam pay rona aayaa
Zikr huwa jab bhi zamaanay main muhabbat ka Shakeel
mujhko apanay he dil-e-naakaam pay rona aayaa
4 Likes
Re: Ay muhabbat
Yun to har shaam ummeedon main guzar jaati thi
Aaj kuchh baat hay jo shaam pay rona aayaa
:@:
Re: Ay muhabbat
[QUOTE]
Kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunyaa ka gilaa
Manzil-e-ishq main har gaam pay rona aayaa
[/QUOTE]
*kyon hijr k shikvay karta hai, kyon dard k ronay rota hai
jab ishq kiya to sabr bhi kar, is men to yehi kuch hota hai
*
Re: Ay muhabbat
Kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunyaa ka gilaa
Manzil-e-ishq main har gaam pay rona aayaa
Baja Farmaya :k:
Re: Ay muhabbat
nice :k:
waisay yeh rona dhona kamzori kee alamat hai 