Ay ishq humeiN barbaad na kar…
ay ishq na chaird aa ke humeiN
hum bhooley houN ko yaad na kar…
pahley hi bahut naashsad haiN hum
tu auur humeiN naashaad na kar…
Qismat ka sitam hi kam nahiN kuch
ye taaza sitam ijaad na kar…
yuuN zulm na kar, bedaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
jis din se mile haiN donoN ka
sab chain gaya aaraam gaya…
chehrooN se bahaar-e-subah gai…
aankhooN se faroG-e-shaam gaya…
haathooN se Khushi ka jaam chhuuta
hontooN se hansi kaa naam gaya…
Ghamgiin na bana naashaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
raatooN ko uth uth ke rotey haiN
ro ro ke duaayeiN kartey haiN…
aankhooN meiN tasawur dil meiN Khalish
sar dhuntey haiN aaheiN bhartey haiN…
ay ishq ye kaisa rog laga
jeetay haiN na zaalim marey haiN…
ye zulm to ay jallaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
ye rog lagaa hay jab se hameiN
ranjida hooN maiN, bemaar hay wo…
har waqt tapish har waqt Khalish
be-Khwaab hooN maiN, bedaar hay wo…
jeenay se idhar bezaar hooN maiN
marney pe udhar tayyaar hay wo…
aur zabt kahey fariyaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
bedard zara insaaf to kar
is umr meiN aur magmoom hay wo…
phoolooN ki tarhaaN naazuk hay abhi…
taarooN ki tarhaaN masoom hay wo…
ye husn sitam ye ranj ghazab…
majboor hooN maiN mazloom hay wo…
mazaluum pe yooN bedaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
ay ishq Khudaara dekh kahiN
wo shokh hansiN badanaam na ho…
wo maah-e-laqaa badanaam na ho…
wo zohra-jabiN badanaam na ho…
naam us kaa us ko paas rahey…
wo parda-nashiN badanaam na ho…
us parda-nashiN ko yaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
ummeed ki jhoothi jannat ke
rah rah ke na dikhla Khwaab hameiN..
aainda ke farzi ishrat ke
vaadey se na kar betaab hameiN…
kehta hay zamaana jis ko Khushi
aati hay nazar kaameyaab hameiN…
chord aisi Khushi ko yaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
do din hi meiN ahad-e-tifli ke
maasooom zamaaney bhool gaey…
aankhooN se vo KhushiyaaN mit si gaeiN
lab ke wo taraney bhool gaey…
un pak bahishti KhwaabooN ke
dilchasp fasaney bhool gaey…
un KhwaabooN se yuuN aazaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
aankhooN ko ye kya aazaar hua
har jazb-e-nihaaN par ro dena…
aahang-e-tarab pe jhuk jaana…
aawaaz-e-fuGaaN par ro denaa…
barbat ki sadaa par ro denaa…
mutrib ke bayaaN par ro denaa…
ehsaas ko gham bunyaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
jee chaahata hay ik doosarey ko
yuuN aath pahar ham kareiN
aaNkhooN meiN basaey KhwaabooN ko
aur dil ko Khayaal aabaad kareiN…
Khilwat meiN bhi jo jalwat ka samaaN
wahdat ko dui se shaad kareiN…
ye aarzooeiN ijaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
wo raaz hai ye gham aah jisey
pa jaaye koi to Khair nahiN…
aankhooN se jab aansoo bahate haiN
aa jaaye koi to Khair nahiN…
zaalim hay ye duniya dil ko
yahaaN bhaa jaaye koi Khair nahiN…
hay zulm magar fariyaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
duniya ka tamaasha dekh liya…
ghamgeeN si hay betaab si hay…
ummeed yahaa ik waham si hay…
taskeen yahaaN ik Khwaab si hay…
duniya meiN Khushi kaa naam nahiN…
duniya meiN Khushi nayaab si hay…
duniya meiN Khushi ko yaad na kar…
Ay ishq humeiN barbaad na kar…
If I’m dreaming, never let me wake. If I’m awake, never let me sleep.