ay gham-e-zindaghi...

*…kuch tou de mashwara
Eik taraf uss ka ghar eik taraf maikada
main kahan jaaon, hota nahi faisla
Eik taraf uss ka ghar eik taraf maikada

zindaghi eik hai aur talab-gaar dow
jaan akeli magar jaan ke haq-daar dow
dil bata pehley kis ka karon haq ada
eik taraf uss ka ghar eik taraf maikada

es taluk ko main kesey toron zafar
kis ko apnaoon main kis ko chhoron zafar
mera dono se rishta hai nazdeek ka
eik taraf uss ka ghar eik taraf maikada

ay gham-e-zindaghi…
*