Ay chand yahan na nikla kr

**Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr,

Yahan ulti ganga behti hai,
es dais main andhe hakim hain,
Na darte hain na nadim hain,
Na logon k wo khadim hain,

Hai yahan pe karobar boht,
es dais main gurday biktay hain,

Kuch log hain alli shan boht,
Aur kuch ka maqsad rotti hai,

Wo kehtay hain sab achha hai,
Maghrib ka raaj he sacha hai,

Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr…**

Re: Ay chand yahan na nikla kr

:konfused: ye koi nahin sinf introduce hui hai shayari main… matla aur maqta barabar.. beech ka wazan ghayab

Re: Ay chand yahan na nikla kr

Is se acha to Mai likhti hoo

Re: Ay chand yahan na nikla kr

evidence pesh kia jae?

Re: Ay chand yahan na nikla kr

Shor e GS Mai mojud hai :snooty:

Re: Ay chand yahan na nikla kr

saboot yahan laey jaein

Re: Ay chand yahan na nikla kr

link please

Re: Ay chand yahan na nikla kr

link nahin saboot:ASA:

Re: Ay chand yahan na nikla kr

http://www.paklinks.com/gs/shora-e-gupshup/573549-my-poem.html

Re: Ay chand yahan na nikla kr

:k: ye dil mange more

Re: Ay chand yahan na nikla kr

I don’t mind nukta cheeni, but aik member ne meri poems ko apne words Mai likha I was hurt, so I decided not to post other poems :naraz:

Re: Ay chand yahan na nikla kr

yeh link hai ya pepsi?

Re: Ay chand yahan na nikla kr

tundi e baad e mukhalif se na ghabra ae uqaab
ye to chalti hai tujhe oonch uRane ke liye

:omg: Kinzz uqaab

Re: Ay chand yahan na nikla kr

mera gala kharab so no pepsy, just joshanda

Re: Ay chand yahan na nikla kr

Lol, muje hawa Mai urhne ka shok Nahi :stuck_out_tongue:

Wo misal suni hai? Ab uske bhi par nikal aye hain :smiley:

Re: Ay chand yahan na nikla kr

haan kisi ne ek air-hostess ko dekh kar kaha tha :)

Re: Ay chand yahan na nikla kr

Bro beech mein pait hota hy…
jo is hukumat ny bharny k qabil hi nhi chora…
Wazan to ghayab hona tha na…:smiley:

Re: Ay chand yahan na nikla kr

Per yeh mohawara to Like koi kuch bhi bhole to log uske bêre Mai kehte hain.

Re: Ay chand yahan na nikla kr

baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

Re: Ay chand yahan na nikla kr

haan asoolan akhlaaqan to aisa hi hona chahiye.. lekin bad-aklaq log kuch bhi keh sakte hain