Ay Chand Suno Kuch Baat Karo

**Ay Chand Suno
Kuch Baat Karo

Tumhari Baat Chalay
Meri Raat Katay
Baat Karo Us Basti Ki
Baadal Barish Or Masti Ki
Ya Baat Karo Us Bandhan Ki
Paayal Chorrie Or Kangan Ki
Ya Baat Karo Un Sapno Ki
Jinhay Tum Bhi Socha Kartay Ho
Khowabon Main Dekha Kartay Ho
Ya Baat Karo
Hawa Main Urtay Anchal Ki
Jo Jab Lehraye Kuch Yaad Dilaye
Mera Chain Churraya
Meri Neend Uraie
Tum Mujh Say Kaho
Ay Chand Suno

Kuch Baat Karo
Teri Baat Chalay Meri Raat Katay**

Re: Ay Chand Suno Kuch Baat Karo

koi baat karo
koi khushboo jaisi baat karo