ay bad e saba itna to batta kiya phool us shehr mein khiltey hein?

ay bad e saba
itna to batta
kiya phool us shehr mein khiltey hein?
jis shehr mein mera dil na khila!

kiya us dharti ki matti se
ab bhi wo khushbu aati hey?
bichhro’n ki jo yaad dilati hey!

kiya us deis ki galiyo’n mein
wo galli abhi tak baqi hay?
jis gali mein mera ghar tha kabhi!

gar aisa hay! to, bad e saba
us shehr ko mera salam dena
or kehna
tujhay chhorr kay jo chaley jatey hein
wo tujh ko bhul nahin paatay
unhein teri yaad sattati hay
or kai kai pehr rulati hey

kai bhulay puranay zakhmo’n ko
teri janib say anay wali hawai’n
phir say hura kar jaati hein
ik zakhum naya de jaati hein

ay bad e saba
ay bad e saba

bohat khoob :k:

bohut he Aala:k::k:
welcome:)

Very nice!
Thanks for sharing :)