~*~Awaara Baadal~*~

Re: ~~Awaara Baadal~~

Jee huzoor..

waise meri tau ek Book bhi nikal chuki hai… Aapko nahi mili?

Yeh lijiye–>

..

2 Likes

Re: ~~Awaara Baadal~~

woww thats so cool .. MashAllah :slight_smile:
kaha say milay gi ye book?

Re: ~~Awaara Baadal~~

Aap thori late ho gayin, Its soldout world over..:)

Re: ~~Awaara Baadal~~

Thanks Moonmine..:)

Re: ~~Awaara Baadal~~

.

Re: ~~Awaara Baadal~~

**Aryaan, mujhe ik auotgraphed edition chaiye pls :@:
**

Re: ~~Awaara Baadal~~

Jee behtar..:)

Re: ~~Awaara Baadal~~

very nice :k:

Re: ~~Awaara Baadal~~

Thanks** Bheegiyaad**..:)

Re: ~~Awaara Baadal~~

ur poems r really nice
:p

Re: ~~Awaara Baadal~~

ur poem must b fantabulous bt 2 tel u truth i can't read it due 2 v small font, my sight is week.

Re: ~~Awaara Baadal~~

:lajawab:

Re: ~~Awaara Baadal~~

Bohat khoob

Re: ~~Awaara Baadal~~

Nice one!!!!!!!!!

**Awaara Hawaaon Mein Urta Ek Awaara Baadal Hoon Main
Khud Chain Hoon Apne Dil Ka Aur Khud Hi Dil Ki Hulchal Hoon Main

Main Ne Hasaaya Hai Khud Ko Jab Jab Tha Udaasi Ka Musam
Roya Hoon Lipat Kar Khud Se Hi, Ek Bheega Sa Aanchal Hoon Main

Kal Aaj Aur Kal Ko, Yun Main Ne Seene Se Laga Kar Rakha Hai
Khud Aane Wala WaQt Hoon Aur, Khud Guzra Huwa Harr Pal Hoon Main

Aa Mujhe Ko Saja Le Honton Par, Naghama Hoon Teri Harr Dharkan Ka
Aa Phir Se Basa Le Aankhon Mein, Teri Aankhon Ka Kaajal Hoon Main

Tu Laakh Sitam Dhaata Hai Aur Shikwa Bhi Nahi Hai Kyun Mujh Ko
Haan Tera Hoon Deewaana Aur, Haan Tere Liye Paagal Hoon Main

Aaya Hoon Jahaan Se, Jana Hai Phir Laut Waheen Ek Din Aryaan
Bas Naam Ka Awaara Hoon, Bas Naam Ka Ek Baadal Hoon Main..**

Re: ~~Awaara Baadal~~

Thanks Bella, Shazia, Maya, Tere_Naam & Nayab..:flower2:

Re: ~~Awaara Baadal~~

thanku so much 4 rewriting it, the simlies are very beautifuli. really touchy.

Thank You Shazia..:)