Re: Aurat ki kamai
to yeh kiuN aur kaise huaa? vo is liye k middle class ne apnii ‘zarooriyaat’ ko baRghaa liyaa hai…ab ek car se kaam nahiiN chaltaa…2-2 aure 3-3- cars chahaiye, ab har ek ko usko apna alag kamra [with attached bathroom] chaahiye, har kisii ko har mauq’e ke liye ek nayaa qeemtii [designer] libaas chaahiye…Gharaz k agar ham ne apnii zarooriyaat baRhaa lii haiN to koolhoo ke bai’l kii taraH to kaam karnaa hii paRegaa…
GhareeboN kii zarooriyaat unkii baqaa ke liye chaahiye…do waqt kii na sahii to ek waqt kii rotii, naye kapRe na sahii to puraane hii kapRe sahii aur sab ke liye ek ek kamra nahiiN bal sar chhupaane ke liye ek chhat chaahiye…
…baRaa farq hai Ghareeb, ameer aur mutavassut tabqe kii zarooriyaat meN…hai na?