**Ek zinda haqeeqat mere seene main hai mastoor
kya samjhe ga wo jis ki ragon main hai lahu sard
na parda, na taleem, nai ho ke puraani!
niswaniyat-e-zan ka nigehbaan faqat mard
jis qaum ne is zinda haqeeqat ko na paya
us qaum ka khursheed bohat jald howa zard