***nazakat ka ye aalam
ik zara si thaes sey tootey…
ger tootna chahey,
na chahey tu koee taaqat
ussey phir torr na paaey,
jo manney pe aaey!
her ghalati pe man jaaey…
per nahi chahey tu usko
kuch bhi jorr na paaey,
apney piyaaroo’n ki chahat
uskey leyey kamzoori hey
yeh hi chahat uski taaqat…
jab bhi koee aazmaaey,
lagti kabhi hey
ik khuli kitaab ki maanind
kabhi ban jaaey wo tahreer aisi…
na koee jo parh paaey,***