**
Agar Bazm-e-Insaan mein Aurat naa hotii
khayaaloun kii rangeen jannat naa hotii
Sitaaroun k Dilkash Fasaane naa hote
Baharoun kii naazuk haqeeqat naa hotii
Jabeenoun pe Noor-e-Masarrat naa hotaa
Nigahoun mein Shaan-e-marawwat naa hotii
Ghataoun kii Aamad koo Sawan taraste
Fizaaoun mein Behkii Baghawat naa hotii
Faqiiroun koo Irfaan-e-Hastii naa miltaa
Ataa Zahidoun koo ibaadat naa hotii
Musaafir sdaa manziloun per baThakte
Safeenoun ko sahil kii qurbat naa hotii
Her ik phool kaa rang pheeka sa hota
Naseem-e-baharaan mein nikhat naa hotii
Khudaaii kaa Insaaf Khaamosh rehtaa
Sunaa hai kisii kii shifa’at naa hotii**