jahan kashti ruki meri kinara aur tha koi
jisay mein dost samjha tha, sitara aur tha koi
bujhi ankhon k daaman mein jami thi dhool barson ki
wo chehra ab jo dekha hai dubaara, aur tha koi
bohot aadil sahi munsif magar insaaf kaisay ho
gawaahi aur hai, kaatil hamara aur tha koi
fiza mehki, chaman jaaga, achanak khil uthay taaray
kisi k muskuraatay hi, nazaara aur tha koi
wohi manoos lehja tha, wohi awaz thi AMJAD
magar jo mur k dekha to, pukaara aur tha koi
SJ
2
Re: ~ Aur Tha Koi ~
wohi manoos lehja tha, wohi awaz thi AMJAD
magar jo mur k dekha to, pukaara aur tha koi
Kya baat hai!!!!!
Bohat he Khoob!!!:)
Re: ~ Aur Tha Koi ~
jahan kashti ruki meri kinara aur tha koi
jisay mein dost samjha tha, sitara aur tha koi
wohi manoos lehja tha, wohi awaz thi AMJAD
magar jo mur k dekha to, pukaara aur tha koi
aabla_pa thank u for posting such a nice piece from my fave poet :)
Re: ~ Aur Tha Koi ~
Darriyaoon mein kashti chala k kya karo ge yahan aao khi aur samandar mei chalao to maza bhi aye 
nice ghazal asad bhai :k: