aur sab bhool gaye harf-e-sadaqat likhna
reh gayaa kaam hamara hi baghavat likhna
laakh kehte rahe zulmat ko na zulmat likhna
ham ne seekha hi nahin pyaray baa_ijazat likhna
na silay ki na sitaaish ki tamana ham ko
haq main logon ke hamari to hai aadat likhna
ham ne jo bhool ke bhi shaah ka qasida na likha
shayud aya isi Khubi ki badaulat likhna
us se barh kar meri tehseen bhala kya hogi
parh ke na-khush hain mera sahib-e-sarvat likhna
dahar ke Gam se hua rabt to ham bhool gaye
saru qaamat ki javaani ko qayamat likhna
kuch bhi kehte hain kahen shah ke masahib ‘Jalib’
rang rakhna yehi apna, isi soorat likhna