**khirki,chaand,kitaab aur mai
muddat se ik baab aur mai…
shabb bhar khailain aapas mai
dow aankhen,ik khuwaab aur mai…
mauj aur kashti saahil per
darya mai gardaab aur mai…
shaam,udaasi,khaamoshi
kuch kankar,talaab aur mai…
her shabb pakray jaatay hain
gehri neend,kitaab aur mai…**