**Aur is mein bhi ta’ajub kya?
Tumhare lout Aanay ki..
Bachi ho Aas jo koi..
Nawa-e-bezubaan ban kar…
Sisak kar phir se utthay..
or tum tak bhi pohanch jaye…
So tum Se Yeh Guzaarish hai..
Tab ik Ehsaan Tum karna…
Palat kar dekhna yun sard nazron say…
Ke jo bhi Aas zinda ho…
Ussay yak-sar mita dena…
Humein Pathar bana dena…!!!**