jab bhii aatii hai terii tyaad kabhii shaam ke baad
aur ba.D jaatii hai afsuurdaa-dilii shaam ke baad
ab iraado.n pe bharosaa hai na taubaa pe yakii.n
mujh ko le jaaye kahaa.N tashnaa_labii shaam ke baad
yuu.N to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa
dil ko mahasuus hu_ii terii kamii shaam ke baad
yuu.N to kuchh shaam se pahale bhii udaasii thii ‘Adeeb’
ab to kuchh aur ba.Dii dil kii lagii shaam ke baad
Re: aur ba.D jaatii hai afsuurdaa-dilii shaam ke baad
[QUOTE]
*Originally posted by ullujii: *
yuu.N to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa
dil ko mahasuus hu_ii terii kamii shaam ke baad
[/QUOTE]
bohat khoobsurat one of ma fav uluji thanks 4 sharin..:)
Azad
4
Waqee
Ab iraado.n pe bharosaa hai na taubaa pe yakii.n
Mujh ko le jaaye kahaa.N tashnaa_labii shaam ke baad
Wah :k:
awesome :k::k:
thanks fro sharing:)
bohat khoob ullujii :)
Thanks for sharing
poem passand karnay ka bohoot bohoot shukerya :flowr1:
ASA
13
**
yaad kare jab mujh ko teri tanhaaee
dekhaa karanaa gul-daanoN ko shaam ke baad
**